Hazrat Umar Farooq(R.A) ne Islam ke bht azeem sipa salar Hazrat Khalid bin Waleed ko itni bari fatoohat ke baad us waqat maazool karney ka hukm de diya jab Unhein(R.A) ko pata chala ke Hazrat Khalid bin Waleed(R.A) ne aik shakhs ko apni tareef byan karney per inam-o-ikram se nawaza, jab Hazrat Khalid Bin Waleed(R.A) se poocha gaya to unhone kaha ke wo un ki apni dolat thee, uss ke jawab mein Hazrat Umar Farooq(R.A) ne farmaya ke Islam ke asoolon ke khilaf hai, unhone ne Farmaya "Khuda ki qasam, main kissi salar, kissi ameer or kissi hakim ko badshahon jesa nahi bananey doon ga ko se jhooti madah ki uss ki jholi inaam se bhar di".
Hazrat Umar bin Khatab(R.A) ki nazar, aaney waley waqat ke pardey chak ker ke kitni dur chali gayi thee. Khulfa-e-Rashideen ke baad aaney waley Khulfa ne inaam o ikram ka silsila shuroo ker diya tha. Abbassi to rawayati badshah ban gaye. Andalas ke akhri dor ko dekhiye. Darbar laga huya hai, shair or adeeb manzoom awr nasri qaseeday parh rahey hain aur inamat se jholiyan bhar rahey hain. Khushamad aik fan aur paisha ban gaya he or an inaam khoron , madah saraon awr khushamdion ne sultanat-e-andlus ko saqoot-e- gharbata tk pohnchaya.
Iss ke baad Sultanat-e-Islamia badshahon mein batt gayi. Hindustan mein mughlia sultanat ke inamat mashhoor huye awr iss sultanat ko zawal aaya.
Ab Pakistan ka hal dekh lein, inaam-o-ikram ka wohi mazmoom silsila chal raha hai jissey Islam ne na jaiz asraf karar diya tha. Khalid bin Waleed ne to apni jeb se inaam diya or maazooli ki saza payi thi lekin hamaray hukmaran sarkari khazaney se inaam detay chaley jaa rahey hain. haqeeqat ye hai ke ye ghair mumallik se liye huye qarzon ki raqam hai jis per hum sud aada kar rahey hain.
Hazrat Umar(R.A) ki door been aankhon ne dekh liya tha ke inaam-o-ikram ka silsila chal nikla to iss ka nateeja zawal ke ilawa or kuch nahi ho ga! Hazrat Umar(R.A) ne iss liye bhi Hazrat Khalid(R.A) ko nahi bakhsha tha ke adlo insaaf or saza mein chotey barey mein farq na rahey. Unhone(R.A) socha tha ke Khalid(R.A) ko maaf kar diya to ye dastoor ban jaye ga ko salar, ameer awr hesiyat waley afrad ko saza nahi mil sakti. as tarah adlo insaaf khatam ho jaye ga or Islam Mashraa chotey or barey mein batt jaye ga.
Umar(R.A) ehkam manwaney mei iss qadar sakht they ko unhone apne betay ko 100 koron ki saza di thee. 80 korey marey gaye ye un ka beta marr gaya. Hazrat Umar(R.A) ko ittala di gayi, Unhone(R.A) hukm diya ko 100 korey purey karo, baaqi 20 uss ki laash ko maro.
Ye hai Hazrat Umar Farooq(R.A) ka adlo insaaf.
- Hum kahan kharey hain???
- Hukmaran or adaliya ke adal ko to choriye, hamarey and
No comments:
Post a Comment